Zaat Paat Ke Murawwajah Tasawwur Ke Muasharay Par Manfi o Musbat Asraat: Islamiyat Tanazur Mein Ek Tahqeeqi Mutala'a
Loading...
Date
2021
Authors
Journal Title
Journal ISSN
Volume Title
Publisher
UMT Lahore
Abstract
Dine Islam mein ahal-e-Arab, Fars, Faraf, Fiyonaan ke nasli tafakhur ke khusoosi pasmanzar mein tauheed-e-Rabbani, fafhadat-e-insani ka jo afaqui paigham bani-e-nau-e-insaan ko diya, usne har zaman-o-makaan mein ummat-e-Muslima ki bila imtiyaz Arab-o-Ajam musafat-e-insani ki buniyad par tashkeel-o-tanzeem ki. Aur bani-e-nau-e-insaan ko ek maa-baap Adam-o-Hawwa alaihimussalam ki aulaad qaraar dete hue unke mabain haqeeqi miyaar-e-sharaf-o-fazilat-o-taqwa ko qaraar diya.
Magar ahal-e-Islam-o-alam-e-Islam mein mukhtalif zaman-o-makaan mein nasal parasti ki buniyad par ta'assub-o-tanarim kisi na kisi shakal mein namoodar hota raha. Aur bilkhusoos Bar-e-Sagheer Pak-o-Hind ke Hindu-Muslim makhloot mu'ashare mein Hindu aksariyat ke falsafa-e-zaat paat-o-tabqaat (Brahmin, Kshatriya, Vaish, Shudra) ke gehre asraat barah-e-raast, neez da'ira-e-Islam mein dakhil hone wale karfaron, muqami bashindon ke tawassut se naqis deeni ta'leem-o-tarbiyat, neez deegar ilaqai-o-mu'asharti awamil ke zer-e-asar Musalmanan-e-Bar-e-Sagheer mein muntaqil hote rahe. Ab yeh hua ke Quraishi, Hashmi, Fatimi, Ansari, Mughal, Pathan, Rajput, Jaat, Arain, Gujjar, Kashmiri, Sindhi, Baloch wagaira mukhtalif Arabi-o-Ajami-o-Farf-o-Hindi naslon se ta'alluq rakhne wale Musalman Bar-e-Sagheer ke mabain apni zaat biradari hatta se bahar nikah-o-azdwaj bil'amoom qaulan-o-fa'alan naqabil-e-bardasht-o-ba'is-e-nang-o-aar ke manjanib biradari "huqqa pani band" kar dene ka ba'is qaraar pata raha. Aur yeh silsila taqseem-e-Hind-o-qayam-e-Pakistan ke baad bhi kafi had tak jari-o-sari raha.
Zer-e-nazar mauzoo mein un tamam masail ki jad tak pahunchne aur un masail ka hal talash karne ki taraf koshish ki gayi.